technology ke badhane se aaj har field me computer aur internet ka istemal kiya ja rha hai , Aaj ke time me hamra har kam internet ke jariye kiya jata hai fir wo chahe sarkari company ho ya fir private company ka. paise ka len den bhi internet se hi kiya ja rha hai yani har kam kisi n kisi roop me internet ke zariye ho rha hai . Aur users ki devices yani ki computer ya smart phones internet se connect rehta hai . Is time pr internet ka istemal lakho users kar rhe hai to zahir si bat hai uske security ka khyal rkha jaye kyuki aaye din internet pr hacking , froud , virus attack hote rehte hai to zaruri ho gya hai ki users ke data ko security prdan kiya jaye . intrnet pr users ko cyber attack se bachane ke liye cyber security ka istemal kiya jata hai , jisme users ke data ko security prdan kiya jata hai . cyber security ke bare me to aapne sun hi rkha hoga . cyber security ek suraksha hai jo internet se juri hoti hai .
Cyber Security do word se milkar bana hai Cyber aur Security . Jo kuchh bhi internet , Networks, Information , Applications , Technology , Data , Computer se juda hota hai use cyber kehte hai Aur jisme surksha se sambandhit hai jaise System security , Application , Network Security , Information Security use ham security kehte hai .
Cyber Security ke madhyam se aap security ke shetr me aap career bana skte hai . Yaha kuch parmukh courses hai
* Undergraduate Program:- Cyber security , Computer science ya information technology me aap vishesh roop se padh skte hai , B.Tech , Bsc , BCA , jaise cours me aap addmission le skte hai isme aap ko mool roop se cyber security ke bare me padhaya jata hai .
2. Postgraduate programms :- M.tech , M.sc , MCA jaise programs me addmission le ke aap isme mastery kar skte hai isme aapko deep knowledge milta hai aur practical experience bhi milta hai .
3. Certificate courses :- certificate course aapke cyber security skills ko improve krne me kafi madad karti hai ye course short term ka hota hai . kuchh faous certificates courses me CISSP , CEH , COPITIA security +, aur certificate information security manager shamil hai .
yadi aap cyber security fields me jana chahte hai to aap uper diye gaye course me se koi ek course kar skte hai .
0 Comments