Jo time ko zyada waste krta hai, wahi time ki Kami ki sabse zyada shikayat krte hai . Time ki mahima aur maryada me jeewan ke sabhi rahasya samae hai. Time ka har pal bahut keemti hai , samay chhan - chhan ki bundo se vinirmit ek annat dhara hai, jisme janm ke roop me jeewan anwarat bahta rehta hai. kal ka koi chhan samanay nhi hota .yah asmany aur adbhut hota hai . Kyuki wah koi chhan hi tha, jisne hame jeewan diya. Wah koi chhan hi hai, jo safalta aur asafalta ka anudan deta hai. Har chhan ek anokha awsar lekar aata hai.us chhan ke sadupyog me hi sachchi sarthakta hai.
Log aate hai aur jate hai, pr samay sada bina kisi ke liye ruke chalta rehta hai. Samay ko kbhi ham pakad nhi pate hai. Jitna pichhe padte hai, utna hi aage nikal jata hai. Bahut hi dukh ki baat hai ki ham samay ka importance jan kr bhi ham use waste krte hai. Iska main Karan hai ' time management ' me hamari jankari na hona . Jan Tak ham iska sahi istemal Sikh nhi lete , tab Tak ham iska sahi istemal nhi kar payenge . Paisa se zyada time ko soch samajh kar kharch Krna chahiye . Aap apni Minto ka dhyan rakho, ghante apni parwah khud kr lenge. Har kam ko time se khtm kare . Tal matol na kre . Awsar ko Jane na de . Samay ka rona rone ki bajay uski kheti kare . Yani apne 24 ghante ko kis tarah 48 ghante me badal sakte hai, wah kren . Swet marden ka kehna hai , " ishwar ek bar ek hi chhan deta hai aur dusra chhan Dene ke pahle us chhan ko le leta hai". Isiliye kal kare so aaj kar , aaj kare so ab
1 Comments
Very impressive blog
ReplyDeleteThank you so much itni acchi jankari Dene ke liye