Time management Lata hai self confidence

 Aap ke pass jitna time abhi hai , usse 

zyada time kbhi nhi hoga .... 


Self confidence wah hathiyar hai, jiske jariye ham bada se bada Kam aasani se kr skte hai - badi se badi goals achieve kr skte hai. Jisme self-confidence ki Kami nhi hai jo apni life me goals achieve krta chla jata hai. Self confidence wah fauladi kila hai , jiske samne hathiyar band bhi apni hathiyar dal deta hai . Jab ham apne self confidence ke sath kisi kam me safalta pa lete hai to aage bhi wahi self confidence safalta ke liye kam krta hai . Isi tarah hamara self confidence badhta chla jata hai , aur hamara behaviour bhi waisa hi ho jata hai aur self confidence aata hai ' self confidence ' se ..

Self confidence ki chabhi hai aashawadi hona nirasa wadi nhi  . Kyuki jaha safalta prapt krne ki aasha hoti hai , wahi us kam ko krne ka aatmvishwaas hota hai .  Aashawadi hone pr insan me utsah , kary kushalta , sahas etc. Jaise gun apne aap aa jata hai , kyuki yahi gun insan ke aatmvishwaas ko badhate hai . 

 Samay ke prti laparwahi menhga sauda... 

    Yah Kami un logo me payi jati hai jo samay ke prti laparwah hote hai . Jo log n to safalta pana chahte hai aur n hi safalta pane ka rasta jante hai . We log  a safalta  ke mare hote hai aur sath hi apne aas paas ke logo ko bhi de motivate kr sakte hai . Ye kewal lena jante hai kisi ko kuch dete nhi hai . Dhire dhire wah khtm ho jate hai aur is duniya me uska koi nam lene wala tk nahi bachta . Agar dusre taraf dekha jaye to aatmvishwaasi log khud to safal hote hi hai sath hi dusre logo ko bhi safal hone me madat krte hai . apne kam ke roop me prerna chhod jate hai log uske kam ko dekh kr motivate hote hai aur khud bhi safal hona chahte hai .  Bahut se bat aapne dekha hoga ki log maut ke kuwe me motar cycle chalate hai . Kaise , aatmvishwaas aur time management se kyuki usko bhi pta hai ek pal ki bhul jan le skti hai .  Apne sarcus me dekha hoga ek aan insan ptli si chadi leke ek khatranak Sher se natak krata hai jabki usko bhi pta hai ye sher uski Jaan bhi le skta hai aatmvishwaas aur time management ke wajah se wo use aasani se kr pata hai  .  Wo bhi hamari aur paki tarah ek aam insan hai koj jadugar nhi koi shaktiman nhi ya koi super hero nhi hai .  Bas uske pass aatmvishwaas hai aur wo apne time ko manage Krna achhe se janta hai .  

 Aap agar kisi bhi safal insan ke life ko dekho to wo kisi bhi kam ko krne se pahle ye nhi bolta ki ye hmse nhi hoga ya mai ise nhi kr sakta but wo bolta hai mai kr skta hu mai kr lunga kyunki uske paas aatmvishwaas hai aur wo log kisi bhi kam ko aatmvishwaas ke sath krte hai aur usme safal bhi hota hai wo log bahane nhi bnate wo log kam krte hai aur usme safal hote hai fir duniya hmesha use yaad rkhti hai . 

Aatmvishwaas aur time management wah kam kr deta hai jiski hme koi umeed bhi nhi hoti . Insano ka plane udana , racket udana , chand pr jana ye sbhi ' time management ' aur aatmvishwaas ke Karan hua hai .. 

Agar apko blog pasand aayi ho to comment zarur kre 

Thank you so much 👍😊

Post a Comment

2 Comments