Stock market ek jagah hai jaha par ham shares buy aur sell krte hai ..
Stock market ek financial market hota
hai jaha pr company apni ownership
stakes ya shares ko public ke through
bechti hai . Ye shares ek company ke
ownership ka representation krte hai .
Jab aap kisi company ka shares
kharidte hai to aap us company ke
chhote se hisse ka malik ban jate hai .
Stock market sabzi Mandi ke tarah
Kam krti hai dimand and supply ke
Aadar pr jb koi sabzi ka supply zyada
hota hai aur dimand Kam hota hai to
Uska bhaw kam ho jata hai . Aur jb kisi
Sabzi ka dimand zyada aur supply
Kam hota hai to uska bhaw badh jata
Hai , bilkul isi tarah stock market bhi
Kam krta hai . Jab koi stock ka dimand
zyada hota hai aur uska supply kam
Hota hai to uska bhaw badh jata hai
aur jb uska demand kam aur supply
Zyada hota hai to uska bhaw kam ho j
ata hai . Aur jaha company registered
hoti hai usko kehte hai stock exchange
India me do bade stock exchange hai
Bombay stock exchange ( BSE) aur
National stock exchange (NSE) .
Company isi jagah pr register hoti hai
Jaha se ham shares buy aur sell kar
Skte hai . Jab aap kisi company me
apna Paisa lgate ho to aapka us
company me hissedari ho jata hai .
Aur jab company grow krti hai to
Aapka Paisa bhi grow krta hai . Jb
Company profit kamati hai to apka
Bhi profit hota hai aur jb company
Loss krti hai to aapka bhi loss hota hai
Company apne investors ko apne
profit ka thoda sa hissa share krti hai
Aur jb company loss krti hai to loss ka
bhi thoda sa hissa apse share krti hai .
Stock market me invest krne ke liye
aapko demate account kholna padta
hai jisme aap apni shares ko kharid
kr stock krte ho . Demate account
aap kahi bhi khol sakte ho .
Jaise ki zerodha ,up stocks , grow app
, angel broking , ye sb app ka nam hai
aap inme se kahi pr bhi Jake apna
Account bna skte ho aur apni trading
ki shuruaat kr skte ho . Aapko demate
account kholne ke liye aadhar card,
pan card , bank account ki zarurat
padegi in sbhi document jaldi se ready
kr le taki aapko demate account
kholne me koi problem na ho ...
Thank you so much 🙏😊
2 Comments
Thank you so much 🙏
ReplyDeleteApka article padh ke acha lga
ReplyDelete