Agar apka sapna software engineer
banna hai to ham apko batayenge
software engineer kaise banate hain.
Sabse pahle apko science stream se 12th krna hai.
12 me aap physics chemistry aur maths se 12th
clear kre . Sabhi subjects me 50% number hone
chahiye . Uske baad aap IIT JEE ka exam de
skte hai fir apko IIT me addmission mil jayega.
Agar aap JEE clear nhi kr pate hai to koi bat nhi
Aap private colleges me addmission le skte hai.
Aap 12th ke baad B.tech computer
science me addmission le skte hai .
Aur aap padhai kr ke software
engineer ban skte hai . Lekin iske liye
aapko bahut mehnat karni padegi tab
Jake aap achhe engineer ban paoge
Nahi to sirf degree lene se kuch nhi
hota hai. Koi company apko Job nhi
degi . Job ke liye apko khud se prepare
karna padega. Ye college wale bhi
kuch nhi karate hai . Students ko khud
Hi Krna padta hai. Agar apko achha
engineer banna hai to aap 1st year se
Hi coding chalu kr do aur dher sari
practice kro practice practice practice.
Kyuki jab Tak aap practice nhi kroge
tab Tak kuch nhi hoga . Aap sikha hua
bhul jaoge practice is the most
important . Koi bhi kam kro jab Tak
aap practice nhi kroge tb tk aap us
kam me magir nhi banoge . Practice
kr ke aap achhi company me achi job
Le skte ho . Achchi package le skte ho.
Aap foreign ja skte ho aap waha pr job
kr skte ho. Croro kama skte ho.
Computer science ek aisa branch hai
Jisme bahut Sara scope hai . Ye ek
ubharta hua career hai . abhi sabhi
Yuwa isi me Jana chahte hai. Kyuki
isme paisa bahut hai. Aap dekh lo aaj
Kal har company me software pr kam
Hota hai chahe wo company chhoti
Ho ya badi . Har jagah software use
hota hai . Aur usko operate kon krta
hai engineers , software engineers .
Isiliye aap isme apna career bna skte
Ho ye acha career option hai. Science
walo ke liye. B.tech 4 year ka course
hota hai jisme aapko 1st year me
aapko sabhi branch ka syllabus
padhaya jata hai fir second year me
Apka man syllabus chalu hota hai .
Jo apko course hota hai. ....
Thanks for read article ☺️ 🙏
0 Comments