D.EL.ED ka full form hota hai Diploma in Elementry Education . Ye ek Diploma level ka course hota hai
isko wo log karte hai jisko primary school ka teacher banna hota hai . Agar Apka bhi sapna teacher banna
hai ya 1 se lekar 5 class tak ke bachcho ko padhana hai to aap bhi D.El.Ed course kar sakte hai . Is course
krne ke baad aap government school ka teacher ban sakte hai , Is course karne ke baad aap direct teacher
nhi ban sakte hai uske liye aapko CTET ka exam nikalna hota hai central level ya state level ka exam
nikalne ke baad vacancy aati hai to aap teacher ban sakte hai . Is course ko karne ke baad aap private
school me bhi teacher ban sakte hai .
* Duration :- is course ka duration 2 years ka hota hai 2 saal baad aap teaching krne ke liye taiyar ho
jate hai . Isme ye sikhaya jata hai ki aap bachcho ke kaise padha skte hai qki bachche ko padhana aasan
kaam nhi hota hai.
* Fees :- iski feel alag alag collage par depend karta hai agr aap government collage se krte ho to 10k
per years lagega matlab ki 2 years ka 20k , aur agar private se krte hai to 40k se 45k tak fees lagta hai
1year ka , waise mai apko government collage hi sugggest karunga qki waha par kam paiso me ho jata
hai .
* Aligibility :- isme addmission lene ke liye aapko 12 ya graduation pass hona padega kam se kam 45
% marks se waise alag alag collage pr depend karta hai usko kaise Addmission lena hai .
*Addmission Process :- waise to isme addmission marit base par hoti hai but kisi kisi collage me
entrance test dena hota hai .
0 Comments