Target course ka main maksad kisi ek khas course ko krne ke liye kiya jata hai . Iska main motive hota hai kisi ek course ko kar ke ache se kamyab ho jaye . Target course alag - alag kisme me aate hai jaise ki ;-
* Competative Exam:- Isme IAS , UPSC , SSC, Banking, BPSC, GATE, GMATE, jaise exams ke liye target course hote hai , Inke maddhyam se students specific pariksha ke liye taiyari karte hai .
* Skill Development :- Kuchh course skills dovelp krne ke liye karte hai , jaise ki Digital marketing , Data Science , programming language , Web development courses.
* Language Courses :- Kisi ko agar languages sikhni hoti hai to wo kisi language ko sikhne ke liye target courses karte hai .
* Professional courses :- target courses professional development ko badhane ke liye bhi hote hai ,
jaise ki leadership skills , Communicational skills , Aur project management .
* Academic Courses :- Kisi khas Academic shetr me mahir banne ke liye target courses available hote hai , jaise Engineering , Madical , Law , MBA Aur commerce jaise fields shamil hote hai .
Target Courses students ke lakshya ya unke goals ke anusar hote hai . Isme students kisi khas fields me apna naam banate hai ..
0 Comments